Kya Nikah wa Zakaath Wagairah ke Masaail mein Zaeef Hadees Par Amal Karsakte Hain?

 ↪️Iski Badi Tafseel Hai Mukhtasaran Qaidah/Usool Samajhle ke Zaeef ki 40-50 Aqsaam Hain Jisme Sabse Aakhri Darje ki Matrook, Mouzoo (Mann Ghadat). . .  Ye Hargiz Qabile Qubool Nahi. . .  Zaeef Ahadees Fazaile A'maal wa Manaqib, Targeeb wa Tarheeb Mein Maqbool Hain. . .  Nikah Aur Zakath (Ahkaam) ke Baab Mein Bhi Zaeef Ahadees Par Amal Hai Laikin Sharaait ke Saath. . . Aur Mustahab ke Darjey Mein. . .  Haan Unn Zaeef Ahadees ke Muqabil Koi Qawi (Sahih) Hadees Na Ho to Uspar Amal Kiya Jaasakta Hai. . .  Jaise Nikah Mein Elaan Karna (Tirmizi) Ye Zaeef Hadees se Sabit Hai. . . 

Isiliye Fuqaha ne Isey Mustahab Qaraar Diya Hai. . .  

                  Isitarah Nikah mein Khutba Padhna Sunnat Hai (Abu Daud) Ye Sanad Zaeef Hai Laikin Hamara Ispar Amal Hai Aur Nikah ke Baad Dua Padhna Mustahab Hai. . .  

Zakath mein Ikhfa (Chhupana) Afzal Hai. . .  (Tabrani). . . Ye Zaeef Hai. . .  Laikin Ispar Hamara Amal Hai ke Hum Zakath/Sadqa Chhupakar dete hain. . . (Bahare Shari'at). . . 

Farz/Wajib . . .  mein Aur Bil-Khusoos Aqaaid ke Baab Mein Qataie Daleel Hi Hogi. . .📚

Yaane Quran, Sahih Hadees, Ijma se na Takraye. . . 

📖Fatawa-e Razawiyah/Al Mustanad/Nawawi/Suyuti/Ibne Hajar Asqalani-Talkheesul Habeer/Usoole Hadees-Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi:82/Allama Zia Mustafa-Al Madkhal Ila Ilmil Hadees/Nukhbatul Fikr/Tadreebul Raawi. . . 📚

Walaahu A'lam. . .

Comments

Popular posts from this blog

Huzoorﷺ ke Walidain Majidain (Maa-Baap) Muahid/Momin-Musalmaan Aur Jannati Hain