Kya Gustakhe Rasool ku Awaam Saza Desakti Hai?

 ↪️Sabse Pahele Ye ke Hum *Hindustan* mein Rahete Hain Lehaaza Ye Naara *Article 19* ke Khilaaf Hai. . .  Jiski Wajah se Ye Naara Lagaane Waley Par Karawaai Hosakti Hai. . .  Lehaaza *Fuqaha ka Usool* Ye Hai ke Hudood ka Nifaaz Sirf Islami Hukumat ka Kaam Hai, Afraad ya Bheed ka Nahi (Al Mugni). . . Aur Yahan bhi Kuch Sharaait Hain: Mustanad Muftiyaan Kiraam ka Fatwa, Hakim (Qazi) ka Faisla, Tauhin ka Saboot (Gawaah), Adalati Karawaai,. . .  Wagairah. . . Yaane Agar Qatl Karne Ka Haq Hai bhi to Woh Baadshah e Islam ku Hai na ke Awaam ku. . . 🚫

👉*A'laHazrat RaziAllah Anhu* Farmate Hain: Darul Harb mein Musalmaan Muaahida ki Wajah se Wahan ke Qanoon ka Paband Hai, Khud Saza Dena Jayiz Nahi. . . Tauhin e Risalat ka Mas'ala Nazuk Hai, Isme Aam Aadmi Dakhal Na De. . . Hudood e Qisas ka Iqama Imam e Waqt ya Uska Naaib Karega. . . Agar Koi Shaksh Khud Qisaas le le to Woh Qaatil Hai , Uspar Qisaas Laazim Hai. . . Darul Kufr mein Musalmaan Aman ke Muaahide mein hai, Wahan Khud Saza dena Ahd Shikni Hai. . .  (Fatawa e Razawiyah). . . Aur *Huzoor Tajush'Shariyah Alaihi Rahmaan* ka bhi Yehi Farmaan/Fatwa Hai. . . 📚

👉Hamare Ulama ka Yehi Fatwa Hain. . . *(Fat'hul Baari/Nawawi/Bahare Shari'at/Wiqarul Fatawa & Fatawa Shareh Bukhari - Khud Saza Dena Qanoon ke Khilaaf Khurooj Hai/Fatawa Tajush'shariyah)*📚

↪️Jo Shaksh Huzoorﷺ ki Tauheen Karey Woh Kaafir Hai, Agar Musalman Ho To Murtad Hogaya, Uski Saza Qatl Hai, Laikin Ye Saza Islami Hukumat ka Qazi Dega, Koi Aam Shaksh Apni Taraf se Nahi Desakta. . . (Bahare Shari'at)📚

👉Doosra Ye hai ke Jo Doosroun ku Wargalate hain Khud Aisa Nahi Karte. . .  Aur Karne Wala Bolta Nahi Hai. . .  Laikin Yahan Social Media par Dikhawe ke Liye Doosre Musalmanoun ku Wargalaaya Jaata Hai. . .  Ye Galat Hai. . . 🚫

👉*Allama Usman Gani Sahab Qibla* ku Aisey hi Phasaaya Gaya Hai. . .  Aaj bhi Woh Aazmaaish mein hain. . . *UAPA* Jaise Acts/Sections Lagingey to Zindagi Barbaad Hai. . . Al Amaan wal Hafeez. . . 

👉Hadees Shareef mein Hai ke Buraai ku Dekho to Haath se Roko (Agar Islami Hukumat wagairah. . .  Ahkaam ho to), Ya Zabaan se Roko. . .  Ya Kamm az Kaam Dil mein Bura Jaane. . . Ek ki Wajah se Poori Qaum/Musalmanoun par Aazmaish na Aaye. . . Iska Khayaal Rakhte Huye Qanooni Tareeqey se Sazaa Dilwaane ki Koshish Karey/Uss Gustaakh ka Boycott Karey. . . 📚

↪️Gustakhe Rasoolﷺ ki Tauba Qubool Nahi. . .  Laikin Usku Saza Dene ka Haq Awaam ku Nahi. . .  💥

📖Bahare Shariat📚

🕋Wallaahu wa Rasuluhul A'lam bis Sawaab🕋

جزاك اللهُ🌹

Comments

Popular posts from this blog

Huzoorﷺ ke Walidain Majidain (Maa-Baap) Muahid/Momin-Musalmaan Aur Jannati Hain