Goonga A'lim
Hazrat Abdullah Ibne Mas'ood RaziAllah Anhu Farmate Hain Aur Imam Gazali Naql Karte Hain: *Haq Baat Par Khamosh Rahene Wala (A'lim) Goonga Shaitaan Hai*. . . (Ihya ul Uloom, J:2/Nawawi Sharah Sahih Muslim, J:2/Faizul Qadeer Sharah Jama us Sageer, J:4). . . ,
Beshak Jo Log Hamari Utaari Hui Roushan Daleelein aur Hidayat ku Chhupate Hain. . . Unpar Allah ki La'anat Hai. . . (Baqarah:159). . . ,
↪️A'lim par Farz Hai ke Woh Haq Baat Khul Kar Kahe. . .,
↪️Yahood ke A'lim Kya Karte they. . . Apne Matlab ki Ayatoun ku Batate Aur Jo Unke Faidah ya Matlab ki Na Hoti Unku Pus-e Pusht Daal dete. . . Isiliye Qur'aan ne Farmaya (Tum Allah ki Baaz Aayatoun par Eimaan Laate ho Aur Baaz par Nahi). . . ,
الله أكبر،
Rasoolullahﷺ ne Farmaya: Jis Shaksh s Kisi Cheez ke Ilm ke Mutalliq Sawaal Kiya Gaya Aur Usne Usku Chhupaya, Qiyamat ke Din Uske Mooh Mein Aag ki Lagaam Daali Jayegi. . . (Sunan Abu Daud). . . 📚
جزاك اللهُ🌹
Comments
Post a Comment