GAIR-E AMBIYA KE AAGEY "ALAIHIS-SALAAM" LAGAANA KAISA?
🕋*GAIR-E AMBIYA KE AAGEY "ALAIHIS-SALAAM" LAGAANA KAISA?*📚
💥Darasal Daur-e Hazir Mein Iss Fitney ki Khidki Kholne Waley *Mutajaddid Tahirul Qadri* Hain. . . Ye Sab Inki Shiya Nawazi Hain. . . Jinki Wajah se Aaj Moulayiyat/Neem Rafizi/Nasbiyat ka Fitney Aur Firqey ke Darwazey Khulkar Aam Horahe Hain. . .
*الامان والحفیظ*
. . . . . . . . Jabke Inka Hamare Akabir Ulama ne Boycott Kiya Hai, Baaz ne Gumrahiyat ka Sharaie Fatwa Aur Baaz ne Kufr ka Sharaie Fatwa Unpar Lagaya Huwa Hain. . . Lehaaza Awaam ku Chahiye ke Iss Fitney se Door Rahe, Inke Bayanaat bhi Na Suney. . . 🚫
*ﻻ حولا ولا قوة الا با اللہ*
👉Gair-e Ambiya (Yaane Sahaba Kiraam/Ahle Bait-e Athaar Aur Auliya-e Izzaam Shaamil Hain). . . Inhe Alaihis-salaam (Salath wa Salaam) ka Laqab/Title Hum Nahi Desakte . . . Kyun???
Kyunke. . . . . . . . . . . . . .
👉Salaam: Iski 3 Aqsaam Hain: 1. Salaam-e Dua (Yaane Kisi ku Salaamati ki Dua Dena. . . Ye Aam Hai. . . ), 2. Salaam-e Tahiya (Yaane Jab bhi Do Musalmaan Aapas Mein Milte Hain Woh Ek Doosre ku Salaam Karte Hain. . . Assalamu Alaikum. . . Jawab Mein Wa-Alaikumus Salaam. . . Isitarah Koi Kisi ka Salaam Pahunchata Hai Kisi ku to Woh Jawab Mein Kaheta Hai: Wa-Alaika Wa Alaihis-Salaam. . . Ye bhi Aam Hai. . . ) Aur 3. *Salaam-e Tazeem*. . . Jispar Hamari Bahes Hai. . . Yaane Tazeemann. . . Kisi ka Naam Liya Jaaye Aur Uske Naam ke Aagey Tazeemann Salath wa Salaam Padha Jaaye. . . Jo Ambiya/Farishtoun ke Alawah Kisi ke Liye Isteqlalann/Biz-Zaat Jayaz Nahi. . . Ye Ambiya wa Farishtoun ke Liye Khaas Hai. . .
Lehaaza Dua ke Taur Par Kahena Aur Hai Aur Tazeemann Protocol ke Taur Par Kahena Aur Hai. . . 👇
👉Gair-e Ambiya Par Salath/Salaam Ibteda'ann Na Bheja Jaaye, Bit-Taba Bheja Jasakta Hai (Yaane Ambiya ke Zikr ke Baad). . . *Salaam bhi Salath ke Maana Mein Hai*, Salaam bhi Gayab ke Liye Ibteda'ann Istemaal Na Kiya Jaaye . . . Ye Jam'hoor Ahle Sunnat ka Mouquf Hai. . .👇
👉Ye Rafiziyoun/Shiyoun Ka Tareeqa Tha Ke Unhoune Apne Aimma ke Liye Iss Lafz "Salath" ka Istemaal Kiya Aur Unhoune Ambiya/Nabi Kareemﷺ ke Saath Iss Muamiley Mein Apne Aimma ke Saath Barabar Kardiya. . . 👇
👉*Imam-e A'zam wa As'haab Aur Imam Malik wa Shafaie Aur Kaseer Ulama-e Ahle Sunnat ka Mouqif* Ye Hai Ke: Gair-e Ambiya Par Isteqlalann/Infiradann Salath Na Bheja Jaaye. . . Yaane Direct/Biz-Zaat . . . Jaise: Allahumma Salli Ala Aali Abi Bakr. . . Allahumma Salli Ala Aali Umar. . . Ya Abu Bakr (Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam). . . Ye Nahi Kaha Jayega. . . Haan Bit-Taba Istemaal Karna Jayaz Hai. . . 👇
👉Bahutse Ulama ne Ye Kaha ki Ye Makrooh-e Tanzeehi Hai Aur Bahutse Ulama ne Isey Khilaaf-e Aula Kaha Hai, Kyunke Ye Ahle Bid'at Ka Shi'aar Hai Aur Hum ku Ahle Bid'at ke Shi'aar se Mana Kiya Gaya Hai. . . Salf ki Zabanoun Par Salath ka Lafz Ambiya Kiraam ke Saath Makhsoos Hai. . . Jaise Allah Azzawajal ka Lafz Allah ke Saath Khaas Hai. . . Pus Jistarah Muhammad Azzawajal Nahi Kaha Jaasakta Usitarah Abu Bakr (Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Nahi Kaha Jayega. . . Laikin Itteba'ann Kaha Jasakta Hai Jaise: Allahumma Salli Ala Muhammad wa Ala Aali Muhammad Wa As'habi Wa Azwaji Wa Zurriyati wa Itteba'ie. . . Kyunke Ispar Ahadees Warid Hain Aur Hamein Tasha'hudd Par Iska Hukm Diya Gaya Hai. . . 👇
👉Isitarah Gaire Ambiya Par Salaam bhi Infiradann Nahi Bheja Jayega Yaane Ali (Alaihis Salaam) Nahi Kaha Jayega Aur Isme Zindah wa Murdah Sab Barabar Hain. . . (Al Azkaar, J:1). . . 👇
👉*Ahle Sunnat ke Muhaqqiqeen* Ke Nazdeek Gaire Ambiya Par Salath wa Salaam Isteqlalann Jayaz Nahi Hai. . . Rawafiz Isku Jayaz Kahete Hain. . . Woh Ahle Bait ke Afraad Par Durood wa Salaam Bhejte Hain. . . Ye Rawafiz ka Mouqif Hai. . . 👇
👉*A'laHazrat* Farmate Hain: Ambiya wa Farishtoun ke Alawah Gair-e Ambiya Par Bil-Isteqalalannn Salath wa Salaam Kisi ke Liye bhi Jayaz Nahi. .. Haan Bit-Taba Jayaz Hai. . . 👇
👉*Muhaddis Mulla Ali Qari* ne Iss Baat ki Tasreeh ki Hai Apni Kitab Sharah Fiqh-il Akbar Mein ki Hazrat Ali RaziAllah Anhu ke Liye "Alaihis-Salaam" Istemaal Karna Ye Rawafiz ka Shi'aar Hai. . . 👇
👉Jo Gaire Ambiya Par Direct/Biz-Zaat Durood wa Salaam Bheje Woh Shiyaiyat mein Guloov Karne Wala Hai. . . Jinku Hum Rawafiz Kahete Hain. . . 👇
👉Allah Rabbul Izzat Irshaad Farmaata Hai:
وَصَلِّ عَلَيۡهِمۡؕ اِنَّ صَلٰوتَكَ سَكَنٌ لَّهُمۡؕ وَاللّٰهُ سَمِيۡعٌ عَلِيۡمٌ ۞
*اے نبی آپ ان (صحابہ) پر صلوٰۃ (دعا) بھیجئے بیشک آپ کی (دعا) صلوٰۃ ان کے لیے باعث طمانیت ہے اور اللہ بہت سننے والا بےحد جاننے والا ہے۔* (سورہ توبہ:103/جامع البیان، جز:11/تفسیر ابن ابی حاتم، ج:6/المفردات، ج:2/صحیح بخاری، کتاب التفسیر، الاحزاب:56/جلا الافہام:76) ۔👇
👉Yahan Iss Aayat Mein Har Musalmaan ke Liye Salath ka Lafz Aaya Hai Laikin Yahan Salath se Muraad Dua Hai/Istegfaar Hai. . . 👇
👉*Imam Malik* ke Nazdeek Ambiya ke Gair Par Mustaqlann Salath Bhejna Makrooh Hai. . . (Akmalul Muallim Bi-Fawaide Muslim, J:2/Asqalani-Fat'hul Baari, J:3). . . 👇
👉Jin Logoun ne (*Mukhalifeen ne*) Surah Taubah:103/Baqarah:157/Ahzaab:43/Bukhari #1497/Muslim #1078/Abu Daud #1590/5185/Nasaai #3459/Ibne Majah #1596/Daarmi #6/Sahih Ibne Hibbaan #1959 ↪️ Se Istedlaal Karke Gaire Ambiya ke Kiye Salath wa Salaam Sabit Karne ki Koshish ki Hai Unka Yahan Rudd Kiya Jaata Hai: Allah Ta'ala wa Rasoolﷺ ka Inn Aayaat wa Ahadees Mein Salath Bhejne ka Zikr Milta Hai Laikin Allah Paak Kisi ke Hukm ya Kisi Qaidah ka Paband Nahi. . . Woh Jisku Chahey Salath Bheje. . . Salath Rasoolullahﷺ ka Haq Hai. . . Woh Apna Haq Jisku Chaahe Ataa Karde. . . So Ye Mazkoorah Aayaat wa Ahadees Hamare Mouzoo se Kharij Hain. . . 🚫👇
Hamara Mouzoo Hai Ummat Kisi Gaire Nabi Par Salath wa Salaam Bhej Sakti Hai ya Nahi. . . Aur Ye Mazkoorah Mukhalif ke Dalaail se Saabit Nahi Hai. . . 🚫👇
👉Tum Aapas Mein Rasool ki Dua ku Aisa Na Qaraar Do Jaisa ke Tum Ek Doosre Ke Liye Dua Karte Ho. . . (Surah Noor:63/Al Istezkaar, J:6/At Tamheed, J:7). . . 👇
👉*Hazrat Umar/Ibne Abbas/Sufiyan Souri RaziAllah Anhum* ne Farmaya: Nabiﷺ/Ambiya ke Siwa Kisi Shaksh Ka Kisi Shaksh Par Salath Bhejna Mere Ilm Mein Jayaz Nahi Hai. . . Makrooh Hai. . . (Musannaf Ibne Abi Sheybah/Musannaf Abdur Razzaq #3119/Sunanul Kubra/Tabrani-Mujamul Kabeer #18813). . . 👇
👉*Hazrat Abdullah Ibne Umar RaziAllah Anhu* Nabiﷺ ki Qabr Mubarak Par Khadey Hote Aur Nabiﷺ Par Salaath Bhejte Aur Hazrat Abu Bakr wa Umar ke Liye Dua Karte. . . (Al Istezkaar, J:6/Ibne Abdul Barr-At Tamheed, J:7). . . 👉Isi Hadees ke Tahet Imam Ibne Abdul Barr ne Motta Imam Malik #166 Mein Lafz Salath Aaya Hai Iska Rudd Kiya Hai Aur Kaha ke Yahya bin Yahya ku Mugaalta Huwa Hai. . . Sahih Riwayat Woh Hai Jo Humne Zikr Ki Hai. . . (-"-"-"-)👇
👉Raha *Ahadees ki Kutub Mein Gaire Ambiya ke Saath Lafz "Alaihis-Salaam" to Printing/Composing/Editing ki Galatiyaan Hain*. . . Kyunke Bukhari/Muslim Wagairah ke Purane Nuskhoun Mein "RaziAllah Anhu" Ya "Rahmatullah Alaih" Milta Hai. . . Jo Misr se Chhapte They. . . Qadeemi Kutub Khaana/Imam Firbari-Nuskha e Kushani (Arabic/Qalmi Nuskha Hai). . .Darul Ibne Jouzi-Saudi/Makkah (Library-Isme Mukhtalif Nuskhey Moujood Hain). . . Aur Nuskha-e Saganiya (Firbari). . . Wagairah. . . ↪️ Laikin Abb ke Naye Nuskhe Jo Kamm wa Besh 40-50 Saal ke Hain Jaise Lubnan-Bairut ke Inme Ye Lafz "Alaihis Salaam" Chhapraha Hai Kyunke Wahan ki Majority Shiya ki Hain Aur Printing Presses Par Unhi ka Control Hain. . . Lehaaza Ye Koi Daleel Nahi. . . 🚫👇
👉Imam Bukhari ne Apni "Sahih" Mein Imam Hussain ke Liye "Rahmatullah Alaih" (Allah ki Unpar Rahmat Ho). . . Istemaal Kiya Hai. . .
Yahan Imam Bukhari Dua ke Taur Par Ye Kahe Rahe Hain. . . Laikin Alaihis-Salaam Kisi Muhaddis ne Sahaba Wa Ahle Bait ke Liye Istemaal Nahi Kiya. . . 👇
👉Lehaaza *Jamhoor ka Yehi Mouquf Hai* ke Ambiya ke Gair Par Tab'ann Salath wa Salaam Bhejna Jayaz Hai Laikin Infiradann wa Isteqlalann Salath wa Salaam (Tazeemann) Bhejna Makrooh-e Tanzeehi Balke Khilaaf-e Aula Hai Aur Bid'at Hai, Rafizi/Shiyoun ka Tareeqa Hai. . . Jayaz Nahi. . . 🚫👇
📖*Makhaz wa Marajey*:- A'laHazrat-Jaddul Mumtaar Ala Raddil Muhtaar, J:7/Imam Nawawi-Kitabul Azkaar, Baab:76, S:131/Qastalani-Mawahibul Laduniyah/Qazi Aiyaz-Shifa, J:2/Aini-Umdatul Qari, J:9/Sharhul Aqaaid An-Nasfiyah-Al Nibraaz:10/Fatawa-e Razawiyah, J:23/Mulla Ali Qaari-Sharah Fiqh-ul Akbar:166/🔥Wahhabi Akabir Ibne Qaiyim-Jila ul Afhaam:260📚
🕋Wallaahu Ta'ala A'lamu wa Rasuluhul A'lam Azzawajalla wa Sallallaahu Ta'ala Alaihi wa Sallam🕋
✍️*Khadim-e Ahle Sunnat wa Jama'at/Nashir-e Maslka-e A'laHazrat RaziAllah Anhu/Faqeer-e Madeena: Moulana Muhammad Yousuf Ataa Qadri Razavi Ziayee, Raichuri Al Hindi, Koppal - Karnatak*🇮🇳
🕋*Allah Rawoofur Raheem Mujh Faqeer ki Aur Iss Tahreer ki Galatiyan Apni Rahmat wa Nabi-e Rahmat ke Sadqe Muaaf Farmayein آمین*🕋
🌹🌹جزاك اللهُ🌹🌹
Comments
Post a Comment